Tuesday 22 November 2016

"The Touch Unknown"


It's so dark, so deep and scary
That the way couldn't find me
Trapped in a bubble
That dances through the night

There comes a tremble
And the ground drifts apart
I couldn’t find the balance
When you held me tight

The bubble bursts
And the inside feels the flames
It falls into the never lasting time
Grasped within the arms of the unknown
I shut the seen and felt the engulfing monster of time

Gave into the urges
That were never mine
If getting lost is what heals the empty soul
Then let nothing ever find me
Let me get into the willies
And let me vanish in space
With this feeling
That you are mine
That you are mine.


Labels: , , , , , , , , , ,

Sunday 20 November 2016

"Udaan"


Man tar-tar ho raha hai
Aur Chehra pe muskaan hai
Dekh lo usse tum bhi
Vahi toh sabki jaan hai

Tehar-tehar ke
Soch samajh ke karti har kam hai
Koi chuk na ho jaye kahin
Vo uss ghar ki shaan hai

Par dekho zara gaur se
Uski nazron mei ek tufaan hai
Sailaab sa machal raha
Use bas ek mauke ki talash hai

Jan lo waqt bada kam hai
Pal-pal bas intzaar hai
Bediyan ab khul rahi
Use ab khudki pehchan hai

Tum kabhi samjhe nahi
Uske bhi kuch armaan hai
Ek pal mein ud gayi
Khula pura asman hai

Mud kar phir aa jayegi 
Ab bhi tumhari yahi soch hai
Par use ab koi fikar nahi
Uske liye hi toh pura jahaan hai...



Labels: , , , , , , ,

Tuesday 15 November 2016

"White" [Murder Part-2]


The softness of white
And the boldness of red
That is where innocence is bled
Eyes Blind fold, Nervous smile
And with some words unsaid
Deep dark secrets, Scattered feeling
That is where love is shed
Butchers knife in frail hands
She is not the one to dread
Blood in eyes, Cursed soul
That is how she dropped dead
Endless rumors, false acquisitions
That is how she was misread
Unknown facts, masking games
That is how the culprit fled…


Read the First Part here: Murder

Photo courtesy Here





Watch out for the next part. Coming soon...

Labels: , , , , ,

Saturday 12 November 2016

"Aisa bhi ho jaye kabhi"


Koi hume bhi khone se ghabraye kabhi
Koi hume bhi kaise bhi paana chahe kabhi
Sachi nahin agar baatein kitabon ki
Toh bhi koi uss duniya mein le jana chahe kabhi

Koi bina mile na rehna chahe kabhi
Hume manane ke lakhon tarike dhund laye kabhi
Zindagi toh har kisi ki bandhi hui hai
Tod ke sab humse milne koi aaye kabhi

Koi yunhi humse milna chahe kabhi
Din rat bataon mei ghulna chahe kabhi
Chaand taron par toh bas kisi ka nahi
Par koi kuch bhi kar ke hume hasana chahe kabhi...

Labels: , , , , , , , ,

Thursday 10 November 2016

Kacha Ehsaas


Ek kaccha sa ehsaas tha
Dab gaya tha kahin
Phir mehsoos naa ho kabhi
Zindagi ke shor mein kho gaya tha kahin

Bade ho gaye na jane kitne
Har ehsaas ko chaanne lage
Umar ke sath khud ko kam se kam pehchanne lage
Milte hi kisi ko das chiz parakhne lage
Phir soch samajh ke kuch mehsoos karne lage

Aur is pakki zindagi mein
Naa jane kyun phir tum se mulakat ho gayi
Phir ji liye kuch pal us kache ehsaas mein
Khud ki masoomiyat se jaise phir se mulakat ho gayi

Waqt itna kam mila ab bhi
Par kuch is kadar gum ho gaye hum tum mein
Jaise sadiyon ke fasle do pal mei kat gaye
Jitna ho sake tujh mein hum simat gaye

Phir muthi se fisal na jaye kahin
Dab na jaye kahin
Ehsaas ko bhi wajah chahiye hoti h aajkal
Bewajah jo ho raha hai
Vo phir kabhi hoga nahi
Par ab Jo ho raha hai
Toh khul kar ise jile abhi...

Labels: , , , , , , , , ,